Bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.n honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.n honaa
Giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.n honaa
waa-e-deewaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.n honaa
jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.n honaa
[Mirza Ghalib]
[dushwaar=difficult; mayassar=possible]
[giriyaa=wiping; kaashaanaa=small house; bayaabaa.N=wilderness]

No comments:
Post a Comment